Best Romantic Poetry Of Ahmed Faraz
tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai
mile koi bhi teraa zikr cheer dete hain
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai
wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaal
wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai
zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai
Poetry Of Ahmed Faraz
Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote
No comments:
Post a Comment