Wednesday 20 April 2011

poetry about love

Yahan khamosh nazron ka nazara kon banta hai?
Bohat gehray samandar ka kinara kon banta hai?
Chalo ham daikhtay hain ab khud ko barbad kr k bhe
Hamari barbadion main bhe hamara kon banta hai?
Bina phal k darkhton ko yahan pe kata jata hai
Kisi bhe be-sahara ka sahara kon banta hai?
Koe shisha agar toote to wapas jur nahe sakta

Mohabbat main fanna ho kar dobara kon banta hai?
Chalo phir azma lo tm sabhe apnay peyaron ko
Tumharay dard main daikhain tumhara kon banta hai?

No comments:

Post a Comment